Friday 27 January 2012

Nostalgia ...!!!


Hun mai mojood kahin tu phir bhi mujhay khud ki kyoun talash hai
ya falsaw-e-zindagi na hayat hai na hi visaal hai

meri sitam –zari bhi pyar hai ,meri dillagi –bhi ishq hai.
mai woh parwana hun jal gaya jisay na arzoe-jamal hai,

mujhay dhoond lo phir ganwa bhi do mujhay paa k phir hara bhi do,
mai jo tujh mai mojjod hun mujhay teri na ab talaash hai,

mujhay aik sham r sahi intizaar rahay ga ay motbaar
mari sham ka aghaz intizaar hai r subho ,mai sham ka intizaar hai

mujh say marasim tu kabhi un kay sahi nah hu pain gay
mai unki waja-e-shohrat hun par khud ka naam bad-naam hai


mujhay na gul kay robaro hona hai na hi wisaal ki shaam ka roona hai
mai hun musafir-ay-bandagi mera jeena ,marna sab bay-kaar hai

mujhay aik baar jo mila kahin woh tu poch lain gay hum bhi jab.,,
tumhay apnay apki talaash thi na,, tumhara apna aap meray pass hai..

kabhi jo fursat hui dunya say humay cheen lan waqt say usay..
k hum woh  aam insaan nahi hain jinhay na hosla hai na majaal hai
 ---by 
Aisha.M.Ahmed

1 comment: